Shab-e-furqat Ki Tanhai Ka Lamha

shab-e-furqat ki tanhai ka lamha

kai raaz-e-nihani kholta hai

bahut din se wo na-manus lahja

mere dasht-e-ana mein gunjta hai

meri pahchan rishte mera maqsad

sada sargoshiyon mein puchhta hai

main sargardan hun us ki justuju mein

wo kahta hai ki mujh ko DhunDta hai

hai us se khul ke milna ab zaruri

pas-e-parda jo mujh ko dekhta hai

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-furqat Ki Tanhai Ka Lamha In English By Famous Poet Iffat Abbas. Shab-e-furqat Ki Tanhai Ka Lamha is written by Iffat Abbas. Read famous Poem Shab-e-furqat Ki Tanhai Ka Lamha for youth and Student by Iffat Abbas. Free Download Shab-e-furqat Ki Tanhai Ka Lamha in PDF.