Ajib Karb-e-musalsal Dil-o-nazar Mein Raha

ajib karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha

wo raushni ka musafir andhere ghar mein raha

wo chandni ka muraqqa nahin tha jugnu tha

charagh ban ke jala aur shajar shajar mein raha

kahawaton ki tarah wo bhi shahr-e-mani tha

bujha bujha sa diya jo kisi khanDar mein raha

wo jis ko khoj sarabon mein thi samundar ki

wo apne dasht-e-dil-o-jaan ki rahguzar mein raha

wahi to naqsh-e-qadam the jo sare miTte gae

wo dagh-e-sajda tha baqi jo sang-e-dar mein raha

yahi tilism tha 'zarrin' jise na toD saki

wajud us ka to taqdir ke bhanwar mein raha

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Karb-e-musalsal Dil-o-nazar Mein Raha In English By Famous Poet Iffat Zarrin. Ajib Karb-e-musalsal Dil-o-nazar Mein Raha is written by Iffat Zarrin. Read famous Poem Ajib Karb-e-musalsal Dil-o-nazar Mein Raha for youth and Student by Iffat Zarrin. Free Download Ajib Karb-e-musalsal Dil-o-nazar Mein Raha in PDF.