Agar Wo Mil Ke BichhaDne Ka Hausla Rakhta

agar wo mil ke bichhaDne ka hausla rakhta

to darmiyan na muqaddar ka faisla rakhta

wo mujh ko bhul chuka ab yaqin hai warna

wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta

bhaTak rahe hain musafir to raste gum hain

andheri raat mein dipak koi jala rakhta

mahak mahak ke bikharti hain us ke aangan mein

wo apne ghar ka daricha agar khula rakhta

agar wo chand ki basti ka rahne wala tha

to apne sath sitaron ka qafila rakhta

jise KHabar nahin KHud apni zat ki 'zarrin'

wo dusron ka bhala kis tarah pata rakhta

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Wo Mil Ke BichhaDne Ka Hausla Rakhta In English By Famous Poet Iffat Zarrin. Agar Wo Mil Ke BichhaDne Ka Hausla Rakhta is written by Iffat Zarrin. Read famous Poem Agar Wo Mil Ke BichhaDne Ka Hausla Rakhta for youth and Student by Iffat Zarrin. Free Download Agar Wo Mil Ke BichhaDne Ka Hausla Rakhta in PDF.