Nakaami

band aankhen kiye sar-e-sahil

kal sahar-dam ye sochta tha main

nind ki god mein zamana hai, beDiyan toD dun, nikal jaun

wadi-e-hu mein ja ke kho jaun

dafatan ek mauj ne baDh kar

apna sar mere panw par rakkha

aur kaha

dekh chashm-e-dil se dekh

nil-gun bahr kitna dilkash hai

hai zamin kis qadar hasin-o-jamil

aasman kitna KHub-surat hai

lekin ai shahkar-e-dast-e-azal jis taraf ka tera irada hai

kya pata wo dayar kaisa hai

ye faza ye hawa ye husn tujhe

kya KHabar hai, wahan mile na mile?

aur yun band ho gain mujh par har taraf se farar ki rahen!

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nakaami In English By Famous Poet Iftikhar Aazmi. Nakaami is written by Iftikhar Aazmi. Read famous Poem Nakaami for youth and Student by Iftikhar Aazmi. Free Download Nakaami in PDF.