Shauq

sham jab Dhalti hai main apne KHarabe ki taraf

loTta hun sar-nigun, bojhal qadam

bara ghanTon ki mashaqqat aur thakan

baDh ke le leti hai mujh ko god mein

aur sail-e-tirgi mein Dub jati hai ummid o shauq ki ek ek kiran

rahguzar-e-arzu par chaar-su uDti hai dhul

aur ek aawaz aati hai kahin se

jo ki an-jaani bhi pahchani bhi hai

zindagi kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin

ek musalsal marg, ek sail-e-bala, nezon ke ban

aahon, karahon ke siwa

phir isi tarik lamhe, phir isi nazuk ghaDi

aarzu ki rahguzar par chand naqsh-e-pa ubharte hain sitaron ki tarah

lahlahata hai koi aanchal bahaaron ki tarah

phail jati hai kisi gesu ki nikhat chaar-su

ek firdausi tabassum ki sunahri chandni

dhime dhime, zina zina

gungunati, raqs farmati hui

baam-e-gham se KHana-e-dil mein utar kar

thapthapati hai mujhe

git gati hai, kabhi lori sunati hai mujhe

aur phir jab subh ko KHurshid-e-alam-tab ki pahli kiran

gudgudati hai mujhe

kar-gah-e-dahr mein wapas bulati hai mujhe

aarzu o justuju dil mein jawan pata hun main

shauq ki mai ke nashe mein chur ho jata hun main!!

(642) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq In English By Famous Poet Iftikhar Aazmi. Shauq is written by Iftikhar Aazmi. Read famous Poem Shauq for youth and Student by Iftikhar Aazmi. Free Download Shauq in PDF.