Tasawwur

is shahr mein sham hote hi galiyon ke nukkaD par

saDkon ke kinare zinda-dil log

aankhon ke kaTore liye khaDe ho jate hain

aur shaKH-e-gul ki tarah lachakti mahakti laDkiyan

husn ki KHairaat banTti phirti hain

KHub-surat tanau-mand bachche

phulon ki tarah muskuraate

ek hath mein khilaune

ek hath mein man ki ungli pakDe hanste-khelte guzarte hain

mai-kadon mein rind jam par jam lunDhate hain

gharon mein pakne wale khanon ki KHushbu

ishtiha ko tez karti hai

kitna KHub-surat kitna jaan-dar hai wo shahr jise meri band aankhon ke alawa

kisi aur ne nahin dekha

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tasawwur In English By Famous Poet Iftikhar Aazmi. Tasawwur is written by Iftikhar Aazmi. Read famous Poem Tasawwur for youth and Student by Iftikhar Aazmi. Free Download Tasawwur in PDF.