Dayar-e-nur Mein Tira-shabon Ka Sathi Ho

dayar-e-nur mein tira-shabon ka sathi ho

koi to ho jo meri wahshaton ka sathi ho

main us se jhuT bhi bolun to mujh se sach bole

mere mizaj ke sab mausamon ka sathi ho

main us ke hath na aaun wo mera ho ke rahe

main gir paDun to meri pastiyon ka sathi ho

wo mere nam ki nisbat se mo'atabar Thahre

gali gali meri ruswaiyon ka sathi ho

kare kalam jo mujh se to mere lahje mein

main chup rahun to mere tewaron ka sathi ho

main apne aap ko dekhun wo mujh ko dekhe jae

wo mere nafs ki gumrahiyon ka sathi ho

wo KHwab dekhe to dekhe mere hawale se

mere KHayal ke sab manzaron ka sathi ho

(2269) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dayar-e-nur Mein Tira-shabon Ka Sathi Ho In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Dayar-e-nur Mein Tira-shabon Ka Sathi Ho is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Dayar-e-nur Mein Tira-shabon Ka Sathi Ho for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Dayar-e-nur Mein Tira-shabon Ka Sathi Ho in PDF.