Dost Kya KHud Ko Bhi Pursish Ki Ijazat Nahin Di

dost kya KHud ko bhi pursish ki ijazat nahin di

dil ko KHun hone diya aankh ko zahmat nahin di

hum bhi us silsila-e-ishq mein baiat hain jise

hijr ne dukh na diya wasl ne rahat nahin di

hum bhi ek sham bahut uljhe hue the KHud mein

ek sham us ko bhi haalat ne mohlat nahin di

aajizi baKHshi gai tamkanat-e-faqr ke sath

dene wale ne hamein kaun si daulat nahin di

bewafa dost kabhi lauT ke aae to unhen

hum ne izhaar-e-nadamat ki aziyyat nahin di

dil kabhi KHwab ke pichhe kabhi duniya ki taraf

ek ne ajr diya ek ne ujrat nahin di

(1236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dost Kya KHud Ko Bhi Pursish Ki Ijazat Nahin Di In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Dost Kya KHud Ko Bhi Pursish Ki Ijazat Nahin Di is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Dost Kya KHud Ko Bhi Pursish Ki Ijazat Nahin Di for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Dost Kya KHud Ko Bhi Pursish Ki Ijazat Nahin Di in PDF.