Faza Mein Wahshat-e-sang-o-sinan Ke Hote Hue

faza mein wahshat-e-sang-o-sinan ke hote hue

qalam hai raqs mein aashob-e-jaan ke hote hue

hamin mein rahte hain wo log bhi ki jin ke sabab

zamin buland hui aasman ke hote hue

ba-zid hai dil ki nae raste nikale jaen

nishan-e-rah-guzar-e-raftagan ke hote hue

jahan-e-KHair mein ek hujra-e-qanaat-o-sabr

KHuda kare ki rahe jism o jaan ke hote hue

qadam qadam pe dil-e-KHush-guman ne khai mat

rawish rawish nigah-e-mehrban ke hote hue

main ek silsila-e-atishin mein baiat tha

so KHak ho gaya nam-o-nishan ke hote hue

main chup raha ki wazahat se baat baDh jati

hazar shewa-e-husn-e-bayan ke hote hue

ulajh rahi thi hawaon se ek kashti-e-harf

paDi hai ret pe aab-e-rawan ke hote hue

bas ek KHwab ki surat kahin hai ghar mera

makan ke hote hue la-makan ke hote hue

dua ko hat uThate hue larazta hun

kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue

(1017) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza Mein Wahshat-e-sang-o-sinan Ke Hote Hue In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Faza Mein Wahshat-e-sang-o-sinan Ke Hote Hue is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Faza Mein Wahshat-e-sang-o-sinan Ke Hote Hue for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Faza Mein Wahshat-e-sang-o-sinan Ke Hote Hue in PDF.