Gali-kuchon Mein Hangama Bapa Karna PaDega

gali-kuchon mein hangama bapa karna paDega

jo dil mein hai ab us ka tazkira karna paDega

natija karbala se muKHtalif ho ya wahi ho

madina chhoDne ka faisla karna paDega

wo kya manzil jahan se raste aage nikal jaen

so ab phir ek safar ka silsila karna paDega

lahu dene lagi hai chashm-e-KHun-basta so is bar

bhari aankhon se KHwabon ko riha karna paDega

mubaada qissa-e-ahl-e-junun na-gufta rah jae

nae mazmun ka lahja naya karna paDega

daraKHton par samar aane se pahle aae the phul

phalon ke baad kya hoga pata karna paDega

ganwa baiThe teri KHatir hum apne mahr o mahtab

bata ab ai zamane aur kya karna paDega

(1389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gali-kuchon Mein Hangama Bapa Karna PaDega In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Gali-kuchon Mein Hangama Bapa Karna PaDega is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Gali-kuchon Mein Hangama Bapa Karna PaDega for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Gali-kuchon Mein Hangama Bapa Karna PaDega in PDF.