Ghairon Se Dad-e-jaur-o-jafa Li Gai To Kya

ghairon se dad-e-jaur-o-jafa li gai to kya

ghar ko jala ke KHak uDa di gai to kya

ghaarat-gari-e-shahr mein shamil hai kaun kaun

ye baat ahl-e-shahr pe khul bhi gai to kya

ek KHwab hi to tha jo faramosh ho gaya

ek yaad hi to thi jo bhula di gai to kya

misaq-e-aitabar mein thi ek wafa ki shart

ek shart hi to thi jo uTha di gai to kya

qanun-e-bagh-bani-e-sahra ki sarnawisht

likkhi gai to kya jo na likkhi gai to kya

is qahat-o-inhedam-e-riwayat ke ahd mein

talif nusKHa-ha-e-wafa ki gai to kya

jab 'mir' o 'mirza' ke suKHan raegan gae

ek be-hunar ki baat na samjhi gai to kya

(1030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghairon Se Dad-e-jaur-o-jafa Li Gai To Kya In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ghairon Se Dad-e-jaur-o-jafa Li Gai To Kya is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ghairon Se Dad-e-jaur-o-jafa Li Gai To Kya for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ghairon Se Dad-e-jaur-o-jafa Li Gai To Kya in PDF.