Hijr Ki Dhup Mein Chhanw Jaisi Baaten Karte Hain

hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain

aansu bhi to maon jaisi baaten karte hain

rasta dekhne wali aankhon ke anhone-KHwab

pyas mein bhi dariyaon jaisi baaten karte hain

KHud ko bikharte dekhte hain kuchh kar nahin pate hain

phir bhi log KHudaon jaisi baaten karte hain

ek zara si jot ke bal par andhiyaron se bair

pagal diye hawaon jaisi baaten karte hain

rang se KHushbuon ka nata TuTta jata hai

phul se log KHizaon jaisi baaten karte hain

hum ne chup rahne ka ahd kya hai aur kam-zarf

hum se suKHan-araon jaisi baaten karte hain

(1715) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Hijr Ki Dhup Mein Chhanw Jaisi Baaten Karte Hain In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Hijr Ki Dhup Mein Chhanw Jaisi Baaten Karte Hain is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Hijr Ki Dhup Mein Chhanw Jaisi Baaten Karte Hain for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Hijr Ki Dhup Mein Chhanw Jaisi Baaten Karte Hain in PDF.