Hum Ahl-e-jabr Ke Nam-o-nasab Se Waqif Hain

hum ahl-e-jabr ke nam-o-nasab se waqif hain

saron ki fasl jab utri thi tab se waqif hain

kabhi chhupe hue KHanjar kabhi khinchi hui tegh

sipah-e-zulm ke ek ek Dhab se waqif hain

wo jin ki dast-KHaten mahzar-e-sitam pe hain sabt

har us adib har us be-adab se waqif hain

ye raat yun hi to dushman nahin hamari ki hum

daraazi-e-shab-e-gham ke sabab se waqif hain

nazar mein rakhte hain asr-e-buland-e-baami-e-mehr

furaat-e-jabr ke har tishna-lab se waqif hain

koi nai to nahin harf-e-haq ki tanhai

jo jaante hain wo is amr-e-rab se waqif hain

(1125) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ahl-e-jabr Ke Nam-o-nasab Se Waqif Hain In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Hum Ahl-e-jabr Ke Nam-o-nasab Se Waqif Hain is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Hum Ahl-e-jabr Ke Nam-o-nasab Se Waqif Hain for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Hum Ahl-e-jabr Ke Nam-o-nasab Se Waqif Hain in PDF.