Hum Apne Raftagan Ko Yaad Rakhna Chahte Hain

hum apne raftagan ko yaad rakhna chahte hain

dilon ko dard se aabaad rakhna chahte hain

mubaada mundamil zaKHmon ki surat bhul hi jaen

abhi kuchh din ye ghar barbaad rakhna chahte hain

bahut raunaq thi un ke dam qadam se shahr-e-jaan mein

wahi raunaq hum un ke baad rakhna chahte hain

bahut mushkil zamanon mein bhi hum ahl-e-mohabbat

wafa par ishq ki buniyaad rakhna chahte hain

saron mein ek hi sauda ki lau dene lage KHak

umiden hasb-e-istedad rakhna chahte hain

kahin aisa na ho harf-e-dua mafhum kho de

dua ko surat-e-fariyaad rakhna chahte hain

qalam aaluda-e-nan-o-namak rahta hai phir bhi

jahan tak ho sake aazad rakhna chahte hain

(1121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Apne Raftagan Ko Yaad Rakhna Chahte Hain In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Hum Apne Raftagan Ko Yaad Rakhna Chahte Hain is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Hum Apne Raftagan Ko Yaad Rakhna Chahte Hain for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Hum Apne Raftagan Ko Yaad Rakhna Chahte Hain in PDF.