Inhin Mein Jite Inhin Bastiyon Mein Mar Rahte

inhin mein jite inhin bastiyon mein mar rahte

ye chahte the magar kis ke nam par rahte

payambaron se zaminen wafa nahin kartin

hum aise kaun KHuda the ki apne ghar rahte

parinde jate na jate palaT ke ghar apne

par apne ham-shajaron se to ba-KHabar rahte

bas ek KHak ka ehsan hai ki KHair se hain

wagarna surat-e-KHashak dar-ba-dar rahte

mere karim jo teri raza magar is bar

baras guzar gae shaKHon ko be-samar rahte

(1398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Inhin Mein Jite Inhin Bastiyon Mein Mar Rahte In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Inhin Mein Jite Inhin Bastiyon Mein Mar Rahte is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Inhin Mein Jite Inhin Bastiyon Mein Mar Rahte for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Inhin Mein Jite Inhin Bastiyon Mein Mar Rahte in PDF.