Kahin Se Koi Harf-e-motabar Shayad Na Aae

kahin se koi harf-e-mo'tabar shayad na aae

musafir lauT kar ab apne ghar shayad na aae

qafas mein aab-o-dane ki farawani bahut hai

asiron ko KHayal-e-baal-o-par shayad na aae

kise malum ahl-e-hijr par aise bhi din aaen

qayamat sar se guzre aur KHabar shayad na aae

jahan raaton ko paD rahte hon aankhen mund kar log

wahan mahtab mein chehra nazar shayad na aae

kabhi aisa bhi din nikle ki jab suraj ke hamrah

koi sahib-nazar aae magar shayad na aae

sabhi ko sahl-angari hunar lagne lagi hai

saron par ab ghubar-e-rahguzar shayad na aae

(1201) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Se Koi Harf-e-motabar Shayad Na Aae In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Kahin Se Koi Harf-e-motabar Shayad Na Aae is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Kahin Se Koi Harf-e-motabar Shayad Na Aae for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Kahin Se Koi Harf-e-motabar Shayad Na Aae in PDF.