KHalq Ne Ek Manzar Nahin Dekha Bahut Dinon Se

KHalq ne ek manzar nahin dekha bahut dinon se

nok-e-sinan pe sar nahin dekha bahut dinon se

patthar pe sar rakh kar sone wale dekhe

hathon mein patthar nahin dekha bahut dinon se

qatil jis ki zad se KHud mahfuz rah sake

aisa koi KHanjar nahin dekha bahut dinon se

apne hi KHemon par jo shab-KHun na mare

aisa koi lashkar nahin dekha bahut dinon se

shaKH-e-burida khuli faza se puchh rahi hai

koi shikasta-par nahin dekha bahut dinon se

zindan ahl-e-junun ko shayad ras aa gaya

diwaron mein dar nahin dekha bahut dinon se

KHak uDane wale logon ki basti mein

koi surat-gar nahin dekha bahut dinon se

sachche sain hamare 'hazrat-mehr-ali-shah'

baba hum ne ghar nahin dekha bahut dinon se

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHalq Ne Ek Manzar Nahin Dekha Bahut Dinon Se In English By Famous Poet Iftikhar Arif. KHalq Ne Ek Manzar Nahin Dekha Bahut Dinon Se is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem KHalq Ne Ek Manzar Nahin Dekha Bahut Dinon Se for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download KHalq Ne Ek Manzar Nahin Dekha Bahut Dinon Se in PDF.