KHauf Ke Sail-e-musalsal Se Nikale Mujhe Koi

KHauf ke sail-e-musalsal se nikale mujhe koi

main payambar to nahin hun ki bacha le mujhe koi

apni duniya ke mah-o-mehr sameTe sar-e-sham

kar gaya jada-e-farda ke hawale mujhe koi

itni der aur tawaqquf ki ye aankhen bujh jaen

kisi be-nur KHarabe mein ujale mujhe koi

kis ko fursat hai ki tamir kare az-sar-e-nau

KHana-e-KHwab ke malbe se nikale mujhe koi

ab kahin ja ke sameTi hai umidon ki bisat

warna ek umr ki zid thi ki sambhaale mujhe koi

kya ajab KHema-e-jaan teri tanaben kaT jaen

is se pahle ki hawaon mein uchhaale mujhe koi

kaisi KHwahish thi ki socho to hansi aati hai

jaise main chahun usi tarah bana le mujhe koi

teri marzi meri taqdir ki tanha rah jaun

magar ek aas to de palne wale mujhe koi

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHauf Ke Sail-e-musalsal Se Nikale Mujhe Koi In English By Famous Poet Iftikhar Arif. KHauf Ke Sail-e-musalsal Se Nikale Mujhe Koi is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem KHauf Ke Sail-e-musalsal Se Nikale Mujhe Koi for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download KHauf Ke Sail-e-musalsal Se Nikale Mujhe Koi in PDF.