KHazana-e-zar-o-gauhar Pe KHak Dal Ke Rakh

KHazana-e-zar-o-gauhar pe KHak Dal ke rakh

hum ahl-e-mehr-o-mohabbat hain dil nikal ke rakh

hamein to apne samundar ki ret kafi hai

tu apne chashma-e-be-faiz ko sambhaal ke rakh

zara si der ka hai ye uruj-e-mal-o-manal

abhi se zehn mein sab zawiye zawal ke rakh

ye bar bar kinare pe kis ko dekhta hai

bhanwar ke bich koi hausla uchhaal ke rakh

na jaane kab tujhe jangal mein raat paD jae

KHud apni aag se shoala koi ujal ke rakh

jawab aae na aae sawal uTha to sahi

phir is sawal mein pahlu nae sawal ke rakh

teri bala se giroh-e-junun pe kya guzri

tu apna daftar-e-sud-o-ziyan sambhaal ke rakh

chhalak raha hai jo kashkol-e-arzu us mein

kisi faqir ke qadmon ki KHak Dal ke rakh

(1360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHazana-e-zar-o-gauhar Pe KHak Dal Ke Rakh In English By Famous Poet Iftikhar Arif. KHazana-e-zar-o-gauhar Pe KHak Dal Ke Rakh is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem KHazana-e-zar-o-gauhar Pe KHak Dal Ke Rakh for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download KHazana-e-zar-o-gauhar Pe KHak Dal Ke Rakh in PDF.