Manzar Se Hain Na Dida-e-bina Ke Dam Se Hain

manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain

sab moajaze tilism-e-tamasha ke dam se hain

miTTi to samne ka hawala hai aur bas

kuze mein jitne rang hain dariya ke dam se hain

kya aisi manzilon ke liye naqd-e-jaan ganwaen

jo KHud hamare naqsh-e-kaf-e-pa ke dam se hain

ye sari jannaten ye jahannam azab o ajr

sari qayamaten isi duniya ke dam se hain

hum sare yaadgar-e-zamin-o-zamana log

ek sahab-e-zamin-o-zamana ke dam se hain

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzar Se Hain Na Dida-e-bina Ke Dam Se Hain In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Manzar Se Hain Na Dida-e-bina Ke Dam Se Hain is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Manzar Se Hain Na Dida-e-bina Ke Dam Se Hain for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Manzar Se Hain Na Dida-e-bina Ke Dam Se Hain in PDF.