Sab Chehron Par Ek Hi Rang Aur Sab Aankhon Mein Ek Hi KHwab

sab chehron par ek hi rang aur sab aankhon mein ek hi KHwab

phir bhi jaane basti basti maqtal kyun hai shahr-e-gulab

wahshat-e-baam-o-dar kahti hai aur balaen aaengi

ab jo balaen aain to logo ran hoga be-hadd-o-hisab

jab bhi kabhi shab-KHun paDa to ahl-e-chaman KHamosh rahe

mausam-e-gul mein jis ko dekho meri shaKHen mere gulab

hum se koi puchhe to bataen kya kuchh hum par bit gai

kahan kahan gahnae suraj kahan kahan Dube mahtab

aao shamen sab gul kar do kah do jaane wale jaen

ab har din paikar ka din hai ab har din hai roz-e-hisab

pyas ki baaten kahte sunte kitne mausam aae gae

koi sabil-e-koh-kani bhi kab tak zikr-e-qaht-e-ab

hum be-dar be-ghar logon ki ek dua bas ek dua

malik shahr-e-gulab salamat hum par jo bhi aae azab

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Chehron Par Ek Hi Rang Aur Sab Aankhon Mein Ek Hi KHwab In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Sab Chehron Par Ek Hi Rang Aur Sab Aankhon Mein Ek Hi KHwab is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Sab Chehron Par Ek Hi Rang Aur Sab Aankhon Mein Ek Hi KHwab for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Sab Chehron Par Ek Hi Rang Aur Sab Aankhon Mein Ek Hi KHwab in PDF.