Sajal Ki Shor Zaminon Mein Aashiyana Kare

sajal ki shor zaminon mein aashiyana kare

na jaane ab ke musafir kahan Thikana kare

bas ek bar use paDh sakun ghazal ki tarah

phir us ke baad to jo gardish-e-zamana kare

hawaen wo hain ki har zulf pechdar hui

kise dimagh ki ab aarzu-e-shana kare

abhi to raat ke sab nigah-dar jagte hain

abhi se kaun charaghon ki lau nishana kare

suluk mein bhi wahi tazkire wahi tashhir

kabhi to koi ek ehsan ghaebana kare

main sab ko bhul gaya zaKHm-e-mundamil ki misal

magar wo shaKHs ki har baat jarehana kare

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sajal Ki Shor Zaminon Mein Aashiyana Kare In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Sajal Ki Shor Zaminon Mein Aashiyana Kare is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Sajal Ki Shor Zaminon Mein Aashiyana Kare for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Sajal Ki Shor Zaminon Mein Aashiyana Kare in PDF.