Samajh Rahe Hain Magar Bolne Ka Yara Nahin

samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin

jo hum se mil ke bichhaD jae wo hamara nahin

abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se

abhi to qarz-e-mah-o-sal bhi utara nahin

bas ek sham use aawaz di thi hijr ki sham

phir us ke baad use umr bhar pukara nahin

hawa kuchh aisi chali hai ki tere wahshi ko

mizaj-pursi-e-baad-e-saba gawara nahin

samundaron ko bhi hairat hui ki Dubte waqt

kisi ko hum ne madad ke liye pukara nahin

wo hum nahin the to phir kaun tha sar-e-bazar

jo kah raha tha ki bikna hamein gawara nahin

hum ahl-e-dil hain mohabbat ki nisbaton ke amin

hamare pas zaminon ka goshwara nahin

(1340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samajh Rahe Hain Magar Bolne Ka Yara Nahin In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Samajh Rahe Hain Magar Bolne Ka Yara Nahin is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Samajh Rahe Hain Magar Bolne Ka Yara Nahin for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Samajh Rahe Hain Magar Bolne Ka Yara Nahin in PDF.