Wahi Pyas Hai Wahi Dasht Hai Wahi Gharana Hai

wahi pyas hai wahi dasht hai wahi gharana hai

mashkize se tir ka rishta bahut purana hai

subh sawere ran paDna hai aur ghamsan ka ran

raaton raat chala jae jis jis ko jaana hai

ek charagh aur ek kitab aur ek umid-e-asasa

us ke baad to jo kuchh hai wo sab afsana hai

dariya par qabza tha jis ka us ki pyas azab

jis ki Dhaalen chamak rahi thin wahi nishana hai

kasa-e-sham mein suraj ka sar aur aawaz-e-azan

aur aawaz-e-azan kahti hai farz nibhana hai

sab kahte hain aur koi din ye hangama-e-dahr

dil kahta hai ek musafir aur bhi aana hai

ek jazira us ke aage pichhe sat samundar

sat samundar par suna hai ek KHazana hai

(1679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Pyas Hai Wahi Dasht Hai Wahi Gharana Hai In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Wahi Pyas Hai Wahi Dasht Hai Wahi Gharana Hai is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Wahi Pyas Hai Wahi Dasht Hai Wahi Gharana Hai for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Wahi Pyas Hai Wahi Dasht Hai Wahi Gharana Hai in PDF.