Ye Ab Khula Ki Koi Bhi Manzar Mera Na Tha

ye ab khula ki koi bhi manzar mera na tha

main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha

main jis ko ek umr sambhaale phira kiya

miTTi bata rahi hai wo paikar mera na tha

mauj-e-hawa-e-shahr-e-muqaddar jawab de

dariya mere na the ki samundar mera na tha

phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main

kahte hain nam tak sar-e-mahzar mera na tha

sab log apne apne qabilon ke sath the

ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ab Khula Ki Koi Bhi Manzar Mera Na Tha In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ye Ab Khula Ki Koi Bhi Manzar Mera Na Tha is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ye Ab Khula Ki Koi Bhi Manzar Mera Na Tha for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ye Ab Khula Ki Koi Bhi Manzar Mera Na Tha in PDF.