AaKHiri Aadmi Ka Rajaz

musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon samet shahr ki fasil par laTak rahe hain

aur har taraf sukun hai

sukun hi sukun hai

fughan-e-KHalq ahl-e-taifa ki nazr ho gai

mata-e-sabr wahshat-e-dua ki nazr ho gai

umid-e-ajr be-yaqini-e-jaza ki nazr ho gai

na e'tibar-e-harf hai na aabru-e-KHun hai

sukun hi sukun hai

musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon

samet shahr ki fasil par laTak rahe hain aur har taraf sukun hai

sukun hi sukun hai

KHalij-e-iqtidar sarkashon se paT di gai

jo hath aai daulat-e-ghanim banT di gai

tanab-e-KHema-e-lisan-o-lafz kaT di gai

faza wo hai ki aarzu-e-KHair tak junun hai

sukun hi sukun hai

musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon samet shahr ki fasil par laTak rahe hain

aur har taraf sukun hai

sukun hi sukun hai

(1285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Aadmi Ka Rajaz In English By Famous Poet Iftikhar Arif. AaKHiri Aadmi Ka Rajaz is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem AaKHiri Aadmi Ka Rajaz for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download AaKHiri Aadmi Ka Rajaz in PDF.