Ek Sawal

mere aaba-o-ajdad ne hurmat-e-admi ke liye

ta-abad raushni ke liye

kalma-e-haq kaha

maqtalon qaid-KHanon salibon mein bahta lahu un ke hone ka ailan karta raha

wo lahu hurmat-e-admi ki zamanat bana

ta-abad raushni ki alamat bana

aur main pa-barahna sar-e-kucha-e-ehtiyaj

rizq ki maslahat ka asir aadmi

sochta rah gaya

jism mein mere un ka lahu hai to phir ye lahu bolta kyun nahin?

(983) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek Sawal In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ek Sawal is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ek Sawal for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ek Sawal in PDF.