Ek Shaer Ek Nazm

apne shahsawaron ko

qatl karne walon se

KHun-baha talab karna

warison pe wajib tha

qatilon pe wajib tha

KHun-baha ada karna

wajibaat ki takmil

munsifon pe wajib thi

munsifon ki nigrani

qudsiyon pe wajib thi

waqt ki adalat mein

ek samt masnad thi

ek samt KHanjar tha

taj-e-zar-nigar ek samt

ek samt lashkar tha

ek taraf muqaddar tha

taife pukar uTThe

taj-o-taKHt zindabaad

saz-o-raKHt zindabaad

saz-o-raKHt zindabaad

KHalq hum se kahti hai

sara majra likkhen

kis ne kis tarah paya

apna KHun-baha likkhen

chashm-e-nam se sharminda

hum qalam se sharminda

sochte hain

kya likkhen

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Shaer Ek Nazm In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ek Shaer Ek Nazm is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ek Shaer Ek Nazm for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ek Shaer Ek Nazm in PDF.