Ek Tha Raja ChhoTa Sa

'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe ko

titliyon ke qarib jaane se rokiye

use rokiye ki paDosiyon ke gharon mein jhule paDe hue hain to us se kya

use kya paDi ki kabutaron ko batae kaise hawaen us ki patang chhin ke le gain

'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe

ko titliyon ke qarib jaane se rokiye

kahin yun na ho ki phir ek bar bhari bahaar mein e'tibar ke sare zaKHm mahak uThen

kahin yun na ho ki nae sire se hamare zaKHm mahak uThen

'ali-iftiKHar' ki man se main ne bata diya hai ki apne beTe ko

titliyon ke qarib jaane se rokiye

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Tha Raja ChhoTa Sa In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ek Tha Raja ChhoTa Sa is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ek Tha Raja ChhoTa Sa for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ek Tha Raja ChhoTa Sa in PDF.