Ek Udas Sham Ke Nam

ajib log hain

hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain

jo raat jagne ki thi wo sari raat

KHwab dekh dekh kar guzarte rahe

jo nam bhulne ka tha us ek nam ko

gali gali pukarte rahe

jo khel jitne ka tha wo khel haarte rahe

ajib log hain

hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain

kisi se bhi to qarz-e-abru ada nahin hua

lahu-luhan saaton ka faisla nahin hua

baras guzar gae hain koi moajaza nahin hua

wo jal-bujha ki aag jis ke shola-e-nafas mein thi

wo tir kha gaya kaman jis ki dastaras mein thi

sipah-e-mahr ka fasil-e-shab ko intizar hai

kab aaega wo shaKHs jis ka sab ko intizar hai

hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain

ajib log hain

hum ahl-e-e'tibar kitne bad-nasib log hain

(1329) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Udas Sham Ke Nam In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ek Udas Sham Ke Nam is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ek Udas Sham Ke Nam for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ek Udas Sham Ke Nam in PDF.