Gumnam Sipahi Ki Qabr Par

sipahi aaj bhi koi nahin aaya

kisi ne phul hi bheje

na basti ke gharon se aashna giton ki aawazen sunai den

na parcham koi lahraya

sipahi! sham hone aai aur koi nahin aaya

fana ki KHandaqon ko jaan de kar par kar jaana baDi baat

jahan jine ki KHatir mar rahe hon log us basti mein mar jaana baDi baat

magar pal bhar ko ye socha to hota

tumhaare baad ghar ki muntazir dahliz ko jage hue dil ki nishani kaun dega

hawaon se ulajhti raushni ko e'tibar-e-kaamrani kaun dega

dar-o-diwar se lipTi hui belon ko pani kaun dega

(1901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gumnam Sipahi Ki Qabr Par In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Gumnam Sipahi Ki Qabr Par is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Gumnam Sipahi Ki Qabr Par for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Gumnam Sipahi Ki Qabr Par in PDF.