Hawaen An-paDh Hain

ab ke bar phir

mauj-e-bahaar ne

farsh-e-sabz par

saat-e-mahr mein

haar-singhaar se

hum donon ke nam likhe hain

aur dua mangi hai ki ai raaton ko jugnu dene wale!

sukhi hui miTTi ko KHushbu dene wale!

shukr-guzar aankhon ko aansu dene wale!

in donon ka sath na chhuTe

aur suna ye hai ki hawaen

ab ke bar bhi tez bahut hain

shahr-e-visal se aane wale mausam hijr-angez bahut hain

(1186) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawaen An-paDh Hain In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Hawaen An-paDh Hain is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Hawaen An-paDh Hain for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Hawaen An-paDh Hain in PDF.