Qissa Ek Basant Ka

patangen luTne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha aur kis ki

Dor halki thi

unhen is se gharaz kya pench paDte waqt kin hathon mein larza aa gaya tha

aur kis ki khench achchhi thi?

hawa kis ki taraf thi, kaun si pali ki bairi thi?

patangen luTne walon ko kya malum?

unhen to bas basant aate hi apni apni Dangen le ke maidanon mein aana hai

gali-kuchon mein kanTi marna hai patangen luTna hai luT ke jauhar dikhana hai

patangen luTne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha

aur kis ki Dor halki thi?

(745) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Qissa Ek Basant Ka In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Qissa Ek Basant Ka is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Qissa Ek Basant Ka for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Qissa Ek Basant Ka in PDF.