Yaqin Se Yaadon Ke Bare Mein Kuchh Kaha Nahin Ja Sakta

tum ne jo phul mujhe ruKHsat hote waqt diya tha

wo nazm main ne tumhaari yaadon ke sath lifafe mein band kar ke rakh di thi

aaj dinon baad bahut akele main use khol kar dekha hai

phul ki nau pankhuDiyan hain

nazm ke nau misre

yaaden bhi kaisi ajib hoti hain

pahli pankhuDi yaad dilati hai us lamhe ki jab main ne

pahli bar tumhein bhari mahfil mein apni taraf musalsal takte hue dekh liya tha

dusri pankhuDi jab hum pahli bar ek dusre ko kuchh kahe baghair

bas yunhi jaan bujh kar nazar bachate hue ek rahdari se guzar gae the

(1100) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin Se Yaadon Ke Bare Mein Kuchh Kaha Nahin Ja Sakta In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Yaqin Se Yaadon Ke Bare Mein Kuchh Kaha Nahin Ja Sakta is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Yaqin Se Yaadon Ke Bare Mein Kuchh Kaha Nahin Ja Sakta for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Yaqin Se Yaadon Ke Bare Mein Kuchh Kaha Nahin Ja Sakta in PDF.