Bhar Aain Aankhen Kisi Bhuli Yaad Se Sham Ke Manzar Mein

bhar aain aankhen kisi bhuli yaad se sham ke manzar mein

do bunden meri hotin tere be-ant samundar mein

jo sairab karen teri sabza-gahen umr ke pani se

thoDi si hariyali hoti un ke zard muqaddar mein

jin aankhon se rangon wali barish ka ek wada tha

wo aankhen to miTTi ho gain subh-o-sham ke chakkar mein

aaj bhi dhup ke sajjade pe namaz-e-mashaqqat main ne paDhi

aaj bhi malik dozaKH rakh di tu ne mere bistar mein

kabhi kabhi is khoj mein dil ke darwaze tak jata hun

kis ne mujh se chhup kar meri umr guzari is ghar mein

(632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhar Aain Aankhen Kisi Bhuli Yaad Se Sham Ke Manzar Mein In English By Famous Poet Iftikhar Bukhari. Bhar Aain Aankhen Kisi Bhuli Yaad Se Sham Ke Manzar Mein is written by Iftikhar Bukhari. Read famous Poem Bhar Aain Aankhen Kisi Bhuli Yaad Se Sham Ke Manzar Mein for youth and Student by Iftikhar Bukhari. Free Download Bhar Aain Aankhen Kisi Bhuli Yaad Se Sham Ke Manzar Mein in PDF.