Dasht-e-be-samt Mein Rukna Bhi Safar Aisa Tha

dasht-e-be-samt mein rukna bhi safar aisa tha

zindagi bhagte guzri mujhe Dar aisa tha

sanp lipTe hue shaKHon se samar zahr-bhare

jis ke sae mein lagi aankh shajar aisa tha

raat bhar aag barasti hai hawa jalti hai

sochta hun mere KHwabon ka nagar aisa tha

aks-e-ummid bhi milta na tha sahraon mein

aankh tarsi thi sarabon ko safar aisa tha

DhunDhta hun use nindon se tahi raaton mein

hae wo shaKHs ki jo KHwab-e-sahar aisa tha

ab ki lauTa hun 'buKHari' to hun begana sa

mera is shahr se jaana to KHabar aisa tha

(628) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-e-be-samt Mein Rukna Bhi Safar Aisa Tha In English By Famous Poet Iftikhar Bukhari. Dasht-e-be-samt Mein Rukna Bhi Safar Aisa Tha is written by Iftikhar Bukhari. Read famous Poem Dasht-e-be-samt Mein Rukna Bhi Safar Aisa Tha for youth and Student by Iftikhar Bukhari. Free Download Dasht-e-be-samt Mein Rukna Bhi Safar Aisa Tha in PDF.