Koi Wajud Hai Duniya Mein Koi Parchhain

koi wajud hai duniya mein koi parchhain

so har koi nahin hota kisi ki parchhain

mere wajud ko mano to sath chalta hun

ki main to ban na sakunga tumhaari parchhain

yahi charagh hai sab kuchh ki dil kahen jis ko

agar ye bujh gaya to aadmi bhi parchhain

kai dinon se mere sath sath chalti hai

koi udas si ThanDi si koi parchhain

main apna-ap samajhta raha jise ta-umr

wo mere jaisa hayula tha meri parchhain

na KHush ho koi bhi tezi se baDhti qamat par

pas-e-ghurub na hogi bichaari parchhain

guman-e-hast hai hasti ka aaina-KHana

so apne-ap ko bhi jaan apni parchhain

main nisf sach ki tarah hun bhi aur nahin bhi hun

ki aadha jism hai mera to aadhi parchhain

phir us se us ke taghaful ka kya gila karna

ki 'iftiKHar-mughal' wo to thi hi parchhain

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Wajud Hai Duniya Mein Koi Parchhain In English By Famous Poet Iftikhar Mughal. Koi Wajud Hai Duniya Mein Koi Parchhain is written by Iftikhar Mughal. Read famous Poem Koi Wajud Hai Duniya Mein Koi Parchhain for youth and Student by Iftikhar Mughal. Free Download Koi Wajud Hai Duniya Mein Koi Parchhain in PDF.