Main Bhi Be-ant Hun Aur Tu Bhi Hai Gahra Sahra

main bhi be-ant hun aur tu bhi hai gahra sahra

ya Thahar mujh mein ya KHud mein mujhe Thahra sahra

ruh mein lahr banate hain teri lahron se

aur kuchh der mere samne lahra sahra

aankh jhapki thi bas ek lamhe ko aur is ke baad

main ne DhunDa hai tujhe zindagi sahra sahra

apni hasti ko bikharne se bacha lena tum

mujh pe mat jaana meri jaan main Thahra sahra

mere lahje ka samundar hi nahin sukha hai

luT gaya teri hansi ka bhi sunahra sahra

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Bhi Be-ant Hun Aur Tu Bhi Hai Gahra Sahra In English By Famous Poet Iftikhar Mughal. Main Bhi Be-ant Hun Aur Tu Bhi Hai Gahra Sahra is written by Iftikhar Mughal. Read famous Poem Main Bhi Be-ant Hun Aur Tu Bhi Hai Gahra Sahra for youth and Student by Iftikhar Mughal. Free Download Main Bhi Be-ant Hun Aur Tu Bhi Hai Gahra Sahra in PDF.