Rakh-rakhaw Mein Koi KHwar Nahin Hota Yar

rakh-rakhaw mein koi KHwar nahin hota yar

dost hote hain, har ek yar nahin hota yar

do ghaDi baiTho mere pas, kaho kaisi ho

do ghaDi baiThne se pyar nahin hota yar

yar! ye hijr ka gham! is se to maut achchhi hai

jaan se yun hi koi bezar nahin hota yar

ruh sunti hai mohabbat mein badan bolte hain

lafz pairaya-e-izhaar nahin hota yar

naukri, shairi, ghar-bar, zamana, qadren

ek mohabbat hi ka aazar nahin hota yar

KHush-dili aur hai aur ishq ka aazar kuchh aur

pyar ho jae to iqrar nahin hota yar

laDkiyan lafz ki taswir chhupa leti hain

un ka izhaar bhi izhaar nahin hota yar

aadmi ishq mein bhi KHud se nahin ghaT sakta

aadmi saya-e-diwar nahin hota yar!!

gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan

jaan kar koi giraftar nahin hota yar

yahi hum aap hain hasti ki kahani, is mein

koi afsanwi kirdar nahin hota yar

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakh-rakhaw Mein Koi KHwar Nahin Hota Yar In English By Famous Poet Iftikhar Mughal. Rakh-rakhaw Mein Koi KHwar Nahin Hota Yar is written by Iftikhar Mughal. Read famous Poem Rakh-rakhaw Mein Koi KHwar Nahin Hota Yar for youth and Student by Iftikhar Mughal. Free Download Rakh-rakhaw Mein Koi KHwar Nahin Hota Yar in PDF.