RuKHsat-e-yar Ka Mazmun Ba-mushkil Bandha

ruKHsat-e-yar ka mazmun ba-mushkil bandha

dil na bandhta tha kisi taur baDa dil bandha

hum ne bhi bandh liya zist ka asbab wahin

jab suna yar-e-safar-dar ne mahmil bandha

hum ne us chehre ko bandha nahin mahtab-misal

hum ne mahtab ko us ruKH ke mumasil bandha

aur kya bandhte saman mein ba-hangam-e-safar

sirf daman mein KHas-e-kucha-e-qatil bandha

hum jo har gam se paiman-e-wafa bandhte the

aaKHirash hum ne bhi azm-e-sar-e-manzil bandha

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKHsat-e-yar Ka Mazmun Ba-mushkil Bandha In English By Famous Poet Iftikhar Mughal. RuKHsat-e-yar Ka Mazmun Ba-mushkil Bandha is written by Iftikhar Mughal. Read famous Poem RuKHsat-e-yar Ka Mazmun Ba-mushkil Bandha for youth and Student by Iftikhar Mughal. Free Download RuKHsat-e-yar Ka Mazmun Ba-mushkil Bandha in PDF.