Jila-watan Hun Mera Ghar Pukarta Hai Mujhe

jila-watan hun mera ghar pukarta hai mujhe

udas nam khula dar pukarta hai mujhe

kisi ki chap musalsal sunai deti hai

safar mein koi barabar pukarta hai mujhe

sadaf hun lahren dar-e-jism khaTkhaTati hain

kanar-e-ab wo gauhar pukarta hai mujhe

har ek moD mere panw se lipaTta hai

har ek mil ka patthar pukarta hai mujhe

phansa hua hai mere hath ki lakiron mein

mera huma-e-mqaddar pukarta hai mujhe

na jaane kya tha ki main duriyon mein kho aaya

wo apne pas bula kar pukarta hai mujhe

chali hai sham-e-shafaq-rang baadban le kar

dabiz shab ka samundar pukarta hai mujhe

paron ka bojh jhaTak kar main uD gaya hun 'nasim'

zamin par mera paikar pukarta hai mujhe

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jila-watan Hun Mera Ghar Pukarta Hai Mujhe In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Jila-watan Hun Mera Ghar Pukarta Hai Mujhe is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Jila-watan Hun Mera Ghar Pukarta Hai Mujhe for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Jila-watan Hun Mera Ghar Pukarta Hai Mujhe in PDF.