KHud Ko Hujum-e-dahr Mein Khona PaDa Mujhe

KHud ko hujum-e-dahr mein khona paDa mujhe

jaise the log waisa hi hona paDa mujhe

dushman ko marte dekh ke logon ke samne

dil hans raha tha aankh se rona paDa mujhe

kuchh is qadar the phul zamin par khile hue

taron ko aasman mein bona paDa mujhe

aisi shikast thi ki kaTi ungliyon ke sath

kanTon ka ek haar pirona paDa mujhe

kari nahin tha war magar ek umr tak

aab-e-namak se zaKHm ko dhona paDa mujhe

aasan nahin hai likhna gham-e-dil ki wardat

apna qalam lahu mein Dubona paDa mujhe

itni tawil o sard shab-e-hijr thi 'nasim'

kitni hi bar jagna sona paDa mujhe

(996) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Ko Hujum-e-dahr Mein Khona PaDa Mujhe In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. KHud Ko Hujum-e-dahr Mein Khona PaDa Mujhe is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem KHud Ko Hujum-e-dahr Mein Khona PaDa Mujhe for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download KHud Ko Hujum-e-dahr Mein Khona PaDa Mujhe in PDF.