Uske Chehre Ki Chamak Ke Samne Sada Laga

us ke chehre ki chamak ke samne sada laga

aasman pe chand pura tha magar aadha laga

jis ghaDi aaya palaT kar ek mera bichhDa hua

aam se kapDon mein tha wo phir bhi shahzada laga

har ghaDi tayyar hai dil jaan dene ke liye

us ne puchha bhi nahin ye phir bhi aamada laga

karwan hai ya sarab-e-zindagi hai kya hai ye

ek manzil ka nishan ek aur hi jada laga

raushni aisi ajab thi rang-bhumi ki 'nasim'

ho gae kirdar mudgham kirshn bhi radha laga

(2921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Chehre Ki Chamak Ke Samne Sada Laga In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Uske Chehre Ki Chamak Ke Samne Sada Laga is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Uske Chehre Ki Chamak Ke Samne Sada Laga for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Uske Chehre Ki Chamak Ke Samne Sada Laga in PDF.