Teri Aankhon Ki Chamak Bas Aur Ek Pal Hai Abhi

teri aankhon ki chamak bas aur ek pal hai abhi

dekh le is chand ko kuchh dur baadal hai abhi

aankh to KHud ko nae chehron mein kho kar rah gai

dil magar us shaKHs ke jaane se bojhal hai abhi

ab talak chehre pe hain tufan guzarne ke nishan

tah mein patthar ja chuka pani pe halchal hai abhi

tu to un ka bhi gila karta hai jo tere na the

tu ne dekha hi nahin kuchh bhi tu pagal hai abhi

kar gaya suraj mujhe tanha kahan la kar 'nasim'

kya karun main raste mein shab ka jangal hai abhi

(1129) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Aankhon Ki Chamak Bas Aur Ek Pal Hai Abhi In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Teri Aankhon Ki Chamak Bas Aur Ek Pal Hai Abhi is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Teri Aankhon Ki Chamak Bas Aur Ek Pal Hai Abhi for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Teri Aankhon Ki Chamak Bas Aur Ek Pal Hai Abhi in PDF.