Tera Hai Kaam Kaman Mein Use Lagane Tak

tera hai kaam kaman mein use lagane tak

ye tir KHud hi chala jaega nishane tak

main shisha kyun na bana aadmi hua kyunkar

mujhe to umr lagi TuT phuT jaane tak

gae huon ne palaT kar sada na di mujh ko

main kitni bar gaya ghaar ke dahane tak

tujhe to apne paron par hi e'tibar nahin

tu kaise aaega uD kar mere zamane tak

kiya tha faisla buniyaad-e-ashiyan ka 'nasim'

hawaen tinke uDa lain aashiyane tak

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Hai Kaam Kaman Mein Use Lagane Tak In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Tera Hai Kaam Kaman Mein Use Lagane Tak is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Tera Hai Kaam Kaman Mein Use Lagane Tak for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Tera Hai Kaam Kaman Mein Use Lagane Tak in PDF.