Suraj Nae Baras Ka Mujhe Jaise Das Gaya

suraj nae baras ka mujhe jaise Das gaya

tujh se mile hue mujhe ye bhi baras gaya

bahti rahi nadi mere ghar ke qarib se

pani ko dekhne ke liye main taras gaya

milne ki KHwahishen sabhi dam toDti gain

dil mein kuchh aise KHauf bichhaDne ka bas gaya

diwar o dar jhulaste rahe tez dhup mein

baadal tamam shahr se bahar baras gaya

talwon mein narm ghas bhi chubhne lagi 'nasim'

sahra kuchh is tarah mere pairon mein bas gaya

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Nae Baras Ka Mujhe Jaise Das Gaya In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Suraj Nae Baras Ka Mujhe Jaise Das Gaya is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Suraj Nae Baras Ka Mujhe Jaise Das Gaya for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Suraj Nae Baras Ka Mujhe Jaise Das Gaya in PDF.