Sham Se Tanha KhaDa Hun Yas Ka Paikar Hun Main

sham se tanha khaDa hun yas ka paikar hun main

ajnabi hun aur fasil-e-shahr se bahar hun main

tu to aaya hai yahan par qahqahon ke waste

dekhne wale baDa ghamgin sa manzar hun main

main bacha lunga tujhe duniya ke sard-o-garm se

Dhanp le mujh se badan apna teri chadar hun main

ab to milte hain hawa se bhi dar-o-diwar-e-jism

basiyo mujh se nikal jao shikasta-ghar hun main

main tumhein uDte hue dekhunga mere sathiyo

main tumhaara sath kaise dun shikasta-par hun main

mere hone ka pata le lo dar-o-diwar se

kah raha hai ghar ka sannaTa abhi andar hun main

kaun dega ab yahan se teri dastak ka jawab

kis liye mujh ko sada deta hai KHali ghar hun main

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Se Tanha KhaDa Hun Yas Ka Paikar Hun Main In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Sham Se Tanha KhaDa Hun Yas Ka Paikar Hun Main is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Sham Se Tanha KhaDa Hun Yas Ka Paikar Hun Main for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Sham Se Tanha KhaDa Hun Yas Ka Paikar Hun Main in PDF.