Saza Hi Di Hai Duaon Mein Bhi Asar De Kar

saza hi di hai duaon mein bhi asar de kar

zaban le gaya meri mujhe nazar de kar

KHud apne dil se miTa di hai KHwahish-e-parwaz

uDa diya hai magar us ko apne par de kar

nikal paDe hain sabhi ab panah-gahon se

guzar gai hai siyah shab gham-e-sahar de kar

use main apni safai mein kya bhala kahta

wo puchhta tha jo mohlat bhi muKHtasar de kar

pukarta hun ki tanha main rah gaya hun 'nasim'

kahan gaya hai wo mujh ko meri KHabar de kar

(885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saza Hi Di Hai Duaon Mein Bhi Asar De Kar In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Saza Hi Di Hai Duaon Mein Bhi Asar De Kar is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Saza Hi Di Hai Duaon Mein Bhi Asar De Kar for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Saza Hi Di Hai Duaon Mein Bhi Asar De Kar in PDF.