Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun Dega

meri aankhon ko aankhon ka kinara kaun dega

samundar ko samundar mein sahaara kaun dega

mere chehre ko chehra kab inayat kar rahe ho

tumhein mere siwa chehra tumhaara kaun dega

mere dariya ne apne hi kinare kaT Dale

bipharte paniyon ko ab sahaara kaun dega

badan mein ek sahra jal raha hai bujh raha hai

mere dariyaon ko pahla ishaara kaun dega

mohabbat nila mausam ban ke aa jaegi ek din

gulabi titliyon ko phir sahaara kaun dega

(1085) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun Dega In English By Famous Poet Iftikhar Qaisar. Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun Dega is written by Iftikhar Qaisar. Read famous Poem Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun Dega for youth and Student by Iftikhar Qaisar. Free Download Meri Aankhon Ko Aankhon Ka Kinara Kaun Dega in PDF.