Andaz-e-sitam Un Ka Nihayat Hi Alag Hai

andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai

guzri hai jo dil par wo qayamat hi alag hai

le jae jahan chahe hawa hum ko uDa kar

TuTe hue patton ki hikayat hi alag hai

pardes mein rah kar koi kya panw jamae

gamle mein lage phul ki qismat hi alag hai

jitna hai samar jis pe wo utna hai KHamida

phaldar daraKHton ki tabiat hi alag hai

bahar se to lagta hai ki shadab hai gulshan

andar se har ek peD ki haalat hi alag hai

har ek ghazal tujh se hi mansub hai meri

andaz mera teri badaulat hi alag hai

kis kis ko bataun ki main buzdil nahin 'raghib'

is daur mein mafhum-e-sharafat hi alag hai

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andaz-e-sitam Un Ka Nihayat Hi Alag Hai In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Andaz-e-sitam Un Ka Nihayat Hi Alag Hai is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Andaz-e-sitam Un Ka Nihayat Hi Alag Hai for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Andaz-e-sitam Un Ka Nihayat Hi Alag Hai in PDF.